- Jwala mein hai jyoti tumhari
- Tumhein sada pujein nar-nari
Hey ma! shri Jwalaji mein, jahan nar-nari apki puja kartein
hain, apki hi jyoti jal rahi hai.
O goddess! in Jwalaji, where several men-women worship you,
it is your flame that is always lit.
- Prem bhakti se jo yash gavein
- Dukh daridra nikat nahin aavein
Prem, bhakti aur shradha se jo vyakti apke yash ka gaan
karta hai, dukh va daridrata uske nikat nahin aatey.
Sorrow and poverty do not afflict those who worship you with
love and reverence.
·
- Dhyavein tumhein jo nar (nitya) mann layi
- Janam-maran tako chooti jayi
Jo prani nishthapoorvak apka dhyan karta hai, vah janam-maran
ke bandhan se mukta ho jata hai.
Those who worship you with immense faith are freed from the
cycle of life and death.
- Jogi sur muni kahat pukari
- Yog na ho bin shakti tumhari
Yogi, sadhu, devta aur munijan pukar pukar kar kehtey hain ki
apki shakti ke bina yog bhi sambhav nahin hai.
All sages and gods have asserted that union or connection
with you is impossible without your power.
- Shankar achraj tapp kino
- Kaam aur krodh jeeti sub leeno
Shankracharya ji ne achraj namak tapasya karke kaam krodh
adi ko jeet liya.
Shankracharya perfomed achraj meditation and got control over
vices like extensive desire and anger.
No comments:
Post a Comment