Wednesday, October 21, 2015

Amba ji O meri amba ji

Jai mata di

Amba ji O meri amba ji
Navaratri nau raton mein roop nau dhyaye
Alag-alag roop dharey maat meri ayey
Amba ji O meri amba ji

Pehli ma Shailputri parvati mata
Shankar-ardhangini, sheronwali mata
Dooji Brahmacharini brahma swaroop dhyayey
Jo bhi roop dharey maiya humko bahut bhayey
Amba ji O meri amba ji

Ghantastha chandrama Chandraghanta teri
Parmananda deti maiya paap katey mere
Udar mein sansar dharey Kushmanda mata
Paap taap harey teenon lok ki gyata
Amba ji O meri amba ji

Skanda-dev ki  janani  devi  Skandamata
Kitne punya kitney tap paayey aisi mata
Rishiyon ki raksha ko prakat bhayi
Tu hi ma Katyayini tuhi ma jagjanani mata
Amba ji O meri amba ji

Kaal ki bhi kaal bhayi devi Kaalratri
Aadhveen  Mahagauri hai roop gaur gaur hai
Charon oar macha shor  shor hai
Amba ji O meri amba ji

Sarva sidhdhi denewali nauvi Sidhdhidatri
Ashtabhuja nav durga roop se navaratri
Naam liye saath saath tere gunn gayenge
Chote se jeevan mein kuch na kuch payenge
Amba ji O meri amba ji


Tuesday, October 20, 2015

Maiya ke dwar ka pujari bann ja

Jai  mata di

Maiya ke dwar ka pujari bann ja
Aaja maiya ke dwar ka pujari bann ja
Jholiyan phailake tu bhkai ban ja

Teri  sunn ke pukar ma zaroor ayegi
Hoga dil mein ujala,leke noor ayegi
Dil bhakti mein rang ke lilari bann ja
Jholiyan phailake........................ Aaja maiya ke...............

Ma ki mamta ka jisko suroor ho gaya
Wo hi Dhyanu ki tarah mashoor ho gaya
Tu bhi langarveer jaisa brahmachari bann ja
Jholiyan phailake........................ Aaja maiya ke...............

Ma ki bhakti se dil ko karar milta
Kismet se hai maiya j ka pyar milta
Hitt apna jo chahey hitkari bann ja
Jholiyan phailake........................ Aaja maiya ke...............

Iss darr se hai subko murad milti
Bey aulaadon ko yahan se hai aulaad milti
Pehle daan ka tu bhi toa adhikari bann ja
Jholiyan phailake........................ Aaja maiya ke...............


Tere darr pe aa ke

Jai mata di

Tere darr pe aa ke
Hamein lagan lagi hai bhakti ki
Hamein rang charha hai bhakti ka
Hamein bhakt bana ke maiya tu
Marg dikha de mukti ka, Jai mata di

Tere ghar pe aakar mil gaya thikana mujhe ma
Sheranwali  jotanwali
Ab charnon mein tere jeevan bitana mujhe ma
Maiya teri bhakti mein doobi maein bhi doobi re
Tere ghar pe aakar mil gaya thikana mujhe ma
Sheranwali  jotanwali

Jug ne hamein tha thukraya
Tuu ne ma humko apnaya
Anchal ki di haemin chaya
Mamta ka diya humko saaya
Rehmat ka teri mil gaya khazana mujhe ma
Maiya teri bhakti mein doobi maein bhi doobi re
Tere darr pe aakar mil gaya thikana mujhe ma
Sheranwali  jotanwali

Chaya tha gamm ka andhera
Tuu ne dikhaya ma savera
Diya tuu ne humko basera
Bhooloon na maein upkar tera
Ab lagta hai jeevan sapna suhana mujhe ma
Maiya teri bhakti mein doobi maein bhi doobi re
Tere darr pe aakar mil gaya thikana mujhe ma
Sheranwali  jotanwali





Sunday, October 18, 2015

Bolo pyara naam maiya ka

Jai mata di

Bolo pyara naam maiya ka (2)
Kaatey kasht tamaam bolo................

Jo maiya ke darr pe aayey
Sakal padarath usne payey
Ma ke darbar jo ayey sawali
Kabhi koyi na jayey khali
Kaatey kasht tamaam bolo................

Shakti ke vardaan milenge
Budhdhi vidya maan milenge
Khil ayey jeevan ki baali
Kabhi jhuke na aas ki daali
Hoga yeh parinaam bolo pyara.................
Kaatey kasht tamaam bolo................

Jagdaati ko sheesh jhukao
Bin mange sub hi phal paao
Tann ke kasht mitaye rogi
Sidhdhi mukti payey yogi
Issi mein sarey dhaam bolo pyara.................
Kaatey kasht tamaam bolo................

Pooji maiya ko hai vardati
Daati subko daya hai dikhati
Aashaon ke jhooley jhoolo
Sapne mein bhi kabhi na bhoolo
Gulshan ka paigaam bolo pyara.....................
Kaatey kasht tamaam bolo................


Saturday, October 17, 2015

Hoti hai ma ki mujhpe inayat kabhi-kabhi

Jai  mata di

Hoti hai ma ki mujhpe inayat kabhi-kabhi
Jyoti mein dekh leti hoon surat kabhi-kabhi

Bhakton ke aas pass he daati raha karo
Parti hai mushkilon mein zaroorat kabhi-kabhi
Hoti hai ma ki..................................................

Shakti hai tere naam mein bhakti mein chain hai
Sumiran se tuull jaati musibat kabhi-kabhi
Hoti hai ma ki..................................................

Ab aa bhi jao ma  meri kashti sambhaalne
Toofan mein toot jaati hai himmat kabhi-kabhi
Hoti hai ma ki..................................................

Aatey nahin wo dhyan mein simro falak hazaar
Aisi bhi tootti hai kayamat kabhi-kabhi

Hoti hai ma ki..................................................

Friday, October 16, 2015

Yeh hai daati ka darbar

Jai Mata Di

Jai  jai ma, Jai  jai ma
Jai  jai ma, Jai  jai ma

Yeh hai daati ka darbar
Yahan per jhukta hai sansar
Yahi toa hai sachchi sakar
                Jai  jai ma..................

Kayi  baar ke tapp karne se
Sau baar ke japp karne se
Darshan ho ek baar
                Jai  jai ma..................

Ma ke darr par sirr dharne se
Ek baar darshan karne se
Cut tay paap hazar
                Jai  jai ma..................

Safal  hogi teri zindagani
Daya karegi maat bhavani
Dil se karo pukar

                Jai  jai ma..................

Tera darshan karney aaun log kahein Jai Mata Di

Jai Mata Di

Tera darshan karney aaun log kahein Jai Mata Di
Tera darshan karkey jaaun log kahein Jai Mata Di

Oonchi lambi teri charhaee pehle bahut darati hai
Subko denewali sahara baanh pakar le jati hai
Jab bhi kadam maein aagey barhaun log kahein Jai Mata Di
Tera darshan karney aaun log kahein Jai Mata Di..................................

Karmonwale he daati paurhi teri charh paatey hain
Arsh se blatki hai yeh seerhi devta aatey jaatey hain
Aatey jaatey sheesh jhukaaun log kahein Jai Mata Di
Tera darshan karney aaun log kahein Jai Mata Di..................................

Ma ke jaikarey mein he sub vedon ka saar hai
Shakti ke jaikarey mein he shakti ma ki apaar hai
Jab tera jaikara bulaun log kahein Jai Mata Di
Tera darshan karney aaun log kahein Jai Mata Di..........................................

Jo bhi ma ka dhyan lagaye ma ke dhyan mein aata hai
Jo guunn bholi ma ke gaayey wo guunnwaan ho jata hai
Jab jab teri bheten gaaun log kahein Jai Mata Di
Tera darshan karney aaun log kahein Jai Mata Di...................................

Jugmug jyoti laagey jaise maiya pass bulati hai
Tann parhey ujala lagey jwala galey lagati hai
Jab bhi teri jyot jagaaun log kahein Jai Mata Di
Tera darshan karney aaun log kahein Jai Mata Di...................................

Phoolon jaise phoolanrani bachchon ko sambhaal rahi
Pug-pug pe ma sheronali vipda subki taal rahi
Atul maiya ke darshan paaun log kahein Jai Mata Di

Tera darshan karney aaun log kahein Jai Mata Di...................................

Wednesday, October 14, 2015

Jiski daati naav chalaye

Jai  Mata Di

Jiski daati naav chalaye
Uss par aanch na koyi aaye
Chahey zor se badal garjey,
Chahey kahar ki bijli karkey
Jiski daati naav chalaye.......................................
Jai jai ma................jai jai ma.................................

Yeh ma lal chunariyawali
Karti bhakton ki rakhwali
Jo bhi iska bharosa kartey
Bhavnidhi se wo paar utartey
Jiski daati naav chalaye.......................................
Jai jai ma................jai jai ma.................................

Ma ki japiye har pal mala
Rahega ghar mein sada ujala
Ma hai gyan ki adbhut  jyoti
Dhoomil jiski lau na hoti
Jiski daati naav chalaye.......................................
Jai jai ma................jai jai ma.................................



Tuesday, October 13, 2015

Bolo Jai Mata Di

Bolo Jai Mata Di

Chalo Ambe ke darbar, Bolo Jai Mata Di
Cut jayein paap apaar, Bolo Jai Mata Di
Daati hai jagadataar, Bolo Jai Mata Di
Ho jayein mangalachar, Bolo Jai Mata Di
Jai mata di...........(3)

Sadvidhiyon se karey, shudh mann angan
Bhaaav-bhakti-nishtha,kar, ardhya dharey aasan
Swaans swaans japey naam tab sub saadhan
Cut jayein vishay sub aap bola Jai Mata Di
Chalo Ambe ke darbar, Bolo Jai Mata Di

Kyon phirey bhatakta dar-dar tu prani
Teri yeh rasikta hai keval naadani
Tere dukhon ka kaaran hai teri mannmaani
Ja parhh Ambe ke dwaar, Bolo Jai Mata Di
Chalo Ambe ke darbar, Bolo Jai Mata Di

Ma jai-bhavaharni, hai mangal-karni
Bhavani jai janani, bhandarey bharni,
Kann-kann mein samayi wo paapon ko harni,
Apna janam sanwar, Bolo Jai Mata Di
Cut jayein paap apaar, Bolo Jai Mata Di
Daati hai jagadataar, Bolo Jai Mata Di
Ho jayein mangalachar, Bolo Jai Mata Di
Jai mata di...........(3)


Ma ki mahima

Jai  mata di

Ma  ki mahima aparampar
Sachche mann se jai mata ki, jai mata ki
Bolo sub ek baar

Tujhmein mujhmein  sare jug mein
Ma ka noor samaya
Janey kis-kis roop mein hum ne
Ma ka darshan paya
Jaaan gaya jo bhed ye uska
Sanvar gaya sansar
Ma  ki mahima........................

Ma ka naam zubaan se lekar
Hum sub jug mein ayey
Ma ka simran karnewala
Kabhi kasht nahin payey
Subko mila hai ma ki paavan mamta ka uphar
Ma  ki mahima........................

Ma se barh ke na koyi teerath
Na kaaba na Kashi
Ma ke ashirvad se jeevan ka sukh hai barahon mashi
Wo kismatwala hai jisne paya ma ka pyar
Ma  ki mahima........................
Sachche mann se jai mata ki................


Monday, October 12, 2015

Jyoti prachand mantra

Sundar deepak ghee bhara  karun aaj taiyaar
gyan ujala ma karo meto moh andhakar

chandra surya ki roshni chamke chaman akhanda
sub mein vyapak tez hai jwala ji ka prachand

jwala jug janani meri raksha karo hamesh
doour karo ma ambike mere sabhi kalesh

shradha aur vishwas se teri jot jagaun
tera hi hai asra tere hi guun gaaun

teri adbhut gatha ko parhun mein nishchay dhaar
saakshaat darshan karun tere jagat adhaar

mann chanchal se paath ke samay jo aoguun hoye
daati apni daya se dhyan na dena koyi

maein anjaan malin mann na jaanoon koyi reet
att patt vani ko hi ma samjho meri preet

bhakt ke auguun bahut hain karna nahin dhyaan
singh vahini ma ambike karo mera kalyan

dhanya dhanya ma ambike shakti shiva vishal
ang ang mein rumm rahi daati deen dayal

shakti, shakti doa mujhe karun tumhara dhyan
paath nirvighna ho apka, mera ho kalyan

hridaya singhasan per aa baitho meri maat
suno vinay mum deen ki jug janani vardaat

mitti ka tann hua pavitra ganga ke ashnaan se
antakaran ho jaye pavitra jagdambe ke dhyaan se

om sarvamangal mangalye shive sarvartha sadhake
sharanyey triyumbakey gauri narayani namostutey

Sunday, August 16, 2015

Durga Chalisa (36-41) completed


  • Asha trishna nipat satavein
  • Moh madadik sub binashavein
Hey mata! mujhe asha aur trishna hamesha satatey rahetein hain. Moh-madd  (moh, ahankar, krodh, eershya adi) bhi dukhi kartey hain.

O Mother! I am constantly tormented by hope and desire. Vices such as allurement, pride, anger and jealousy also trouble me.

  • Shatru naash kije maharani
  • Sumirao ekchit tumhein bhavani
Hey Bhavani! maein ekchit ho kar apka simaran karti rahoon. Aap mere shatruon ka naash keejiye.

O ma Bhavani! I should always be able to meditate upon you. Please destroy my enemies.

  • Karo kripa hey matu dayala
  • Ridhi-sidhi dei karahu nihala
Hey daya barsanevali mata Amba! mujh per kripa kijiye aur ridhi-sidhi adi pradan kar mujhe nihaal kijiye.

O generous mother! be kind to me and fill my life with prosperity.

  • Jab lagi jeeyun daya phal paaun
  • Tumro yash maein sada sunauun
Hey mata! jab tak jeevit rahun aapki daya ki patra bani rahuun aur apki yashgatha subko sunati rahoon.

O mother! please bestow your kindness on me for as long as I am alive and also bless me that I am always able to spread the message of your greatness.

  • Durga Chalisa jo koyi gaavey
  • Sub sukh bhog param padd paavey
Jo bhi bhakt prem va shadhdha se Durga Chalisa ka paath karega, woh sub sukhon ko bhogta hua parampadd ko prapt hoga.

Whoever recites Durga Chalisa with devotion, that devotee will be blessed with all forms of happiness and will be accorded the highest place.

  • Devidas (mujhe) sharan nij jaani 
  • Karahu kripa jagadumba bhavani
Hey Jagadamba, acknowledging Devidas (me) at your feet, please shower your kindness on me.

Saturday, August 15, 2015

Durga Chalisa (31-35) contd.

·         Nishdin dhyan dharo shankar ko
·         Kahu kaal nahin sumiro tumko

Unhonne nitya hi shanka bhagwan ka dhyan kya lekin apka smaran kabhi nahin kiya.

But his meditatedion was only towards lord shankar and not you.

·   Shakti roop ko maram na payo
·         Shakti gayi tab mann pachitayo

Apki shakti ka unhonne bhed nahn jaana. Jab unki  shakti chinn gayi tab ve mann hi mann pachtane lage

He did not know the core(essential truth) of your power. When his power was lost he was filled with regret.
  •  Sharanagat hui kirti bakhani
  •   Jai  jai jai jagdamba bhavani


Apki sharan mein aakar unhonne apki kirti ka gunngaan kiya aur Jai  jai jai jagdamba bhavani  ka uchchaaran kiya

He came to your fold and chanted Jai  jai jai jagdamba bhavani.

·         Bhayi prassan adi jagadamba
·         Dayi shakti nahin keen vilamba

Hey adi jagdamba ji! Tab apne prassan hokar unki shakti lautane mein vilamb(daer) nahin kiya

O ma jagdamba!  you became happy and you did not delay in returning his powers to him.

  • Moko maat kasht ati ghero
  • Tum bin kaun hare dukh mero

Hey mata! Mujhe charon oar se kashton ne gher akha hai. Apke atirikt in dukhon ko kaun har sakega?

O mother! I am surrounded by sufferings on all sides. Besides you who will free me from these?


Thursday, August 13, 2015

Durga Chalisa (26-30) contd.


  • Jwala mein hai jyoti tumhari
  •   Tumhein sada pujein nar-nari


Hey ma! shri Jwalaji mein, jahan nar-nari apki puja kartein hain, apki hi jyoti jal rahi hai.

O goddess! in Jwalaji, where several men-women worship you, it is your flame that is always lit.

  •   Prem bhakti se jo yash gavein
  •    Dukh daridra nikat nahin aavein


Prem, bhakti aur shradha se jo vyakti apke yash ka gaan karta hai, dukh va daridrata uske nikat nahin aatey.

Sorrow and poverty do not afflict those who worship you with love and reverence.
·        
  • Dhyavein tumhein jo nar (nitya) mann layi
  • Janam-maran tako chooti  jayi


Jo prani nishthapoorvak apka dhyan karta hai, vah janam-maran ke bandhan se mukta ho jata hai.

Those who worship you with immense faith are freed from the cycle of life and death.
  • Jogi sur muni kahat pukari
  • Yog na ho bin shakti tumhari


Yogi, sadhu, devta aur munijan pukar pukar kar kehtey hain ki apki shakti ke bina yog bhi sambhav nahin hai.

All sages and gods have asserted that union or connection with you is impossible without your power.
  • Shankar achraj tapp kino
  • Kaam aur krodh jeeti sub leeno


Shankracharya ji ne achraj namak tapasya karke kaam krodh adi ko jeet liya.


Shankracharya perfomed achraj meditation and got control over vices like extensive desire and anger.

Tuesday, August 11, 2015

Durga Chalisa (20-25) contd.


  • ·         Shumbha Nishumbha danuj tum marey
  • ·         Raktabeej shankhan sanharey


Hey ma apne Shumbha Nishumbha jaise raakshason ko mara aur raktabeej ka bhi caroron ki sankhya mein vinaash kiya.

You killed demons like Shumbha Nishumbha and also destroyed crores of raktabeej.

It is believed that it is only Goddess Kalratri who could slay the extreme torment of devil Raktabeej. No one was able to kill Raktabeej as even one drop of his scattered blood used to form another embodiment of Raktabeej and the scattered blood produced other billions of Raktabeej. Maa Durga incarnated herself in Kalaratri and kept a Patra (vessel) to keep and imbibe entire blood of Raktabeej. Her severe violent appearance while destroying Raktabeej and other demons hugely petrified all organisms of the world. 

  • ·         Mahishasur nrip ati abhimani
  • ·         Jehi ugh bhar mahi akulani


Ati abhimani asur mahishasur ke paapon se jab dharti vyakul ho uthi

When mother earth was distressed by the sins of the proud demon Mahishasur

  • ·         Roop karaal kalika dhaara
  • ·         Sena sahit tum tihi sanhara

Tabb kali ka vikraal roop dharan kar apne uss papi ka sena sahit sanhaar kar diya

You took on the most fearsome form of ma kali and destroyed him along with hs army.

·         Pari gaarh santan per jab jab
·         Bhayi sahay maat tum tab tab

Jab jab santjanon pe musibatein ayin tab tab apne unki madat ki

Whenever the virtuous/ascetics  have been in any sort of difficulty you have helped them.

  • ·         Amarpuri aru basav loka
  • ·         Tab mahima sub rahe ashoka

Jab tak yeh puriyan aur lok vidyaman hain tab tak apki mahima se sub shokarahit rahenge

As long as these puris and the lokas exist, everyone will be sorrowless because of  your glory.




Monday, August 10, 2015

Durga Chalisa (16-20) contd.

·         Shri Bhairav tara jug tarini
·         Chchinn bhaal bhav dukh nivarini

Shri Bhairavi aur Tara devi bun aap jug ko taarti hain aur chchinnmasta devi bun dukhon ka nivaaran karti  hain.

You take us across in the form of Shri Bhairavi and Tara devi. You avert our sufferings in the form of   Chchinnmasta devi.

  • ·         Kehari vaahan soh bhavani
  • ·         Laangur veer chalet agvaani


Vaahan ke roop mein singh per shobhayamaan hey bhavani  laangur jaise veer apke aagey chalet hain.

Hey bavani , you have  the lion as your transport and the brave Hanuman leads the way wherever  you go.

  • ·         Karr  mein khappar  kharag  virajai
  • ·         Jako dekh kaal darr bhaajai


Aapke hathon mein jab khappar  va kharag hota hai usey dekh kaal bhi darr ke bhaag jata hai.

You have the skull and the sword in your hands which scares even the king of the dead/death.

  • ·         So hai astra aur trishula
  • ·         Jatey uthath shatru hiya shoola


Hathon mein mahashaktishali astra-shastra aur trishul uthaey huey aapke  roop ko dekh shatru ke hriday mein peerah honay lagti hai.

With you carrying weapons and trishul, even the enemy is intimidated.

  • ·         Nagarkot mein tum hi virajat
  • ·         Teehoon lok mein danka baajat


Nagarkot (Kangra) mein bhi aap hi virajmaan hain. Teehoon lok mein aap ke naam ka hi danka bajta hai.

You are in Kangra as well as everywhere else. In all three worlds you are supreme.



Sunday, August 9, 2015

Durga Chalisa (11-15) contd.

  • ·         Raksha kari Prahlad bachayo
  • ·         Hiranakshya ko swarga pathayo

Aapne bhakt Prahalad ki raksha ki tatha Hiranakshya ko bhi swarga pradaan kiya kyonki woh aapke hathon maara gaya.

You protected your devotee Prahalad and granted a place in heaven to Hiranakshya as he had received death at your hands.

  • ·         Lakshmi  roop dharo jug maahin
  • ·         Shri Narayana ang samahin

Lakshmi ji ka roop dhaaran kar aap hi hain Shri Narayan ki ardhangini ke roop mein.

You took on the form of Goddess Lakshmi and you are there as Lord Narayana’s better half.

  • ·         Ksheer sindhu mein karat vilasa
  • ·         Dayasindhu deeje mann asa

Ksheer sagar mein viraajmaan hey dayasindhu aap mere mann ki ashaon ko poorna karo.

O kind goddess residing gloriously in Ksheersindhu, please fulfill my heart’s desires.

  • ·         Hingalaaj mein tum hi bhavani
  • ·         Mahima amit na jaat bakhani

Hingalaaj ki devi bhavani ke roop mein aap hi prasidh hain. Apki mahima ka varnan shabdon mein nahin kiya ja sakta.

You are famous as bhavani of Hingalaaj. Your glory or grandeur cannot be described in words.

  • ·         Matangi aru Ghumavati mata
  • ·         Bhuvneshwari Bagla sukh data


Aap hi Matangi devi,  Ghumavati mata, Bhuvneshwari devi aur Baglamukhi devi ke roop mein sukh denewali hain.

You give us happiness in the form of Matangi devi,  Ghumavati mata, Bhuvneshwari devi and Baglamukhi devi.

Saturday, August 8, 2015

Durga Chalisa (6-10) contd.


·         Annapoorna  hui  jug  paala
·         Tum  hi aadi sundari bala

Aap annapoorna bun jagat ka paalan karti  hain.
 Aap hi aadi (pracheen) sundari  bala hain.

You see to or provide for the life on the earth in the form of annapoorna. You are the ancient beautiful  young  lady.

·         Pralayakaal  sub naashanhaari
·         Tum gauri shivashankar pyari

Pralayakaal  mein aap hi jug ka naash karti hain
Bhagwan Shankar  ki priya gauri-parvati bhi aap hi hain.

You are the destroyer  when the world is in the phase of destruction. You are also Gauri-Parvati   the beloved of lord Shiva.

·         Shiv yogi tumre gunn gaavein
·         Brahma Vishnu tumhein nit dhyayein

Shiv   tatha yogi jan aapka gunngaan karte hain. Brahma Vishnu sahit sabhi devta nitya hi aapka dhyaan karte hain.

Shiva and yogis all praise you. Brahma Vishnu and other gods always meditate with you in mind.

·         Roop Saraswati  ka tum dhara
·         De subudhi rishi munin ubara.

Aapne hi Saraswati ji ka  roop dharan kar rishi muniyon ko sadbudhi pradan ki aur unka uddhaar kiya.

As Ma Saraswati you guided  rishis and sages/seers and gave them salvation.

·         Dharyo roop Narasingh ko amba
·         Prakat bhayi faarh kar khamba.

Hey Ambe mata apne hi shri Narasingh ka roop dharan kiya tha aur khambe ko phaar kar prakat hui thein.

As Narasingh O ma Ambe, you appeared after breaking the pillar.




Durga Chalisa (1-5) to be continued


  • Namo namo Durge sukh karni
  • Namo namo Ambe dukh harni.


Sukh pradaan karnewali ma shri Durga ji ko mera namaskaar hai. Dukh harnewali MA shri Ambeji ko mera namaskaar hai

Namaskaar to MA Durga who grants us joy and namaskaar to MA Ambe who takes away our sorrows.


  • Nirankaar hai jyoti tumhaari
  • Tihun lok failing ujiyaari
Apki jyoti ka prakash asim hai jiska teenon lokon (prithvi, akash and pataal) mein prakash phael raha hai.

Your light is formless and is spread over the earth, sky and the world under).


  • Shashi lalaat mukh mahavishala
  • Netra lal bhrikuti vikrala
Apka mastak chandrama ke samaan aur mukh ati vishaal hai. Nayan raktim abha se yukt tatha bhrikuti vikraal hai.

Your forehead is like the moon and face is huge. Your eyes are red and your eyebrows are most fearsome.

  • Roop maat ko adhik suhavey
  • Darash karat jann ati sukh pavey
MA ka yeh roop atyadhik suhavana hai. Iske darshan se bhakton ko param sukh milta hai

Ma's this form is very attractive. Just by worshipping Her the devotees get utmost happiness.


  • Tum sansar shakti lai keena
  • Paalan hetu unn dhann deena
Aap sansar ki sabhi shaktiyon ko apne mein sametey huey ho aur jagat ka paalan karney ke liye hummein unn aur dhann deti ho

You are the embodiment of all the powers and you give us grains (food) and wealth for our daily livelihood.

Friday, August 7, 2015

Sorry

Dear friends

Sorry for not being regular in my posts.

I plan to bring for you, in the next few days, Durga chalisa with English and Hindi translation of its meaning. Hope you find it useful.

Jai mata di.

Regards

Pramila