Wednesday, August 24, 2011

Vardati ma ko na dil se bhulana

Jai Mata Di

Vardati ma ko na dil se bhulana
Maiya ji ke charnon mein hi sirr jhukana, vardati……….

Jab jab ayey maiya assu ey suhana
Tab tab gaaey mera mann mastana
Chalo chalein bhavan pe darshan hai pana, vardati……….

Jis neb hi ashbhuji mata hai dhyayi
Usi ki bhavani ne hai bigri banayi
Ek baar kya lakh baar azmana, vardati……….

Aad kanwari yeh hi maya kehlati
Bhakton ke kashton ko ye hi hai mitati
Mile jo samay guun iss ke hi gana, vardati……….

Aao jagdambe ke guun aaj gayiye
Chaman bhavani ki hi jai jai bulayiye
Safal ho jaye tera nar tann pana, vardati……….
……………..

No comments:

Post a Comment