Saturday, August 6, 2011

Gaur se dekho meri jagdambe aa rahi

Jai Mata DI

Wah kaun hai jo meri rug rug mein sama rahi
Tum gaur se dekho meri jagdambe aa rahi

Ek haath mein trishool hai ek haath mein bhala
Ek haath dhanush baan hai ek haath mein jwala
Ek haath meri maiya ka hai barkaton wala
Sirr per mukut ko dhaar kar darshan dikha rahi ,tum gaur se….

Wo aa rahi hai dushton ka sanhaar karne ko
Wo ayi hai bhakton ka bera paar karne ko
Ayi bhavan se daason ke bhandaar bharne ko
Sharnagaton ki laaj hai ambe bacha rahi, tum gaur se….

Mein jaanta hoon duniya mein hamdard toa ma hai
Iss ki daya bina bhala such chaain kahan hai
Jiski baney ye ma usi ka sara jahan hai
Maiya hi hai jo har jagah izzat bacha rahi, tum gaur se….

Jub ambe ki bhakti se na inkaar karoge
Jagdambe ke charnon se sachcha pyar karoge
Har aan mein har shaan mein jub dhyan dharoge
Tum bhi kahogey maiya hai bigri meri bun rahi, tum gaur se….

Shradhdha se chaman charnon mein tum sees jhuka doa
Vardaati hai rakshak hamari sub ko bata doa
Oonche swaron se ma ka jai jai kaar bula doa
Phir dekhna wo rang hai kya kya dikha rahin, tum gaur se….

Tum gaur se dekho – zara tum hosh se dekho
O ankhen khol kar dekho meri jagdambe aa rahi









No comments:

Post a Comment