Thursday, August 4, 2011

Jiski rakshak tum ho daati, wah kahu se na hi darey

Jai Mata Di

Jiski rakshak tum ho daati, wah kahu se na hi darey
Jiske hriday vaas ho tera, kyon darr darr auron ke parhen

Tum karti jao daya sub per
Hum jholiyan bhar bhar le aayen

Tum ma ho hum baalak hain tere
Bina ma ke putr kahan jaye

Maateshwari ho tum vardaati
Har samay tumhara dhyan rahe – jisey

Mamta ke bandhan mein phans kar
Tera naam daati bhula baitha

Mann se na kapat gaya mere
Maein apna maan gava baitha

Baksho mujh ko maein sharan teri
Ab tere dwarey aan parhe – jis

Paapi hoon gunahgaar bhi hoon
Dil se na mujhe bhula dena

Kayi tare dwar jo aye tere
Hum ko bhi paar laga lena

Hoon gunahgaar maein chaman tera
Mujh per bus teri kripa rahe – jis















No comments:

Post a Comment