Sunday, August 21, 2011

Le ke puja ki thali, jot mann ki jala li

Jai Mata Di

Le ke puja ki thali, jot mann ki jala li
Teri arati utarun, bholi ma
Tun jo de de sahara, sukh jeevan ka sara
Tere charnon pe vaarun, bholi ma

Dhool teri charnon ki leker maathe tilak lagaya
Yehi kamna lekar maiya dvar tere maein aya

Rahun maein tera hoke teri sava mein khoke
Sara jeevan guzarun, bholi ma
Tun jo de de sahara sukh jeevan ka sara
Tere charnon pe vaarun, bholi ma

Safal hua ye janam, maein tha janamon se kangaal
Tuney bhakti ka dhan de ke kar diya malamal

Rahen jab tak ye pran, karun tera hi dhyan
Naam tera pukarun, bholi ma
Tun jo de de sahara sukh jeevan ka sara
Tere charnon pe vaarun, bholi ma


No comments:

Post a Comment