Sunday, August 7, 2011

Meri ambe rani mein kis darr pe jaoon

Jai Mata Di

Meri ambe rani mein kis darr pe jaoon
Mein tujh ko pukaroon tujhe hi bulaoon
Bara roya socha va samajhaya mann ko
Magar aya na chaain iss mere tann ko

Tumhi jaanti ho ma meri lagan ko
Na palbhar bhi ambe mein tujhko bhulaoon – meri…….

Teri shakti per mujhko aisa yakeen hai
Kissi aur per toa bharosa nahin hai
Mera pakka vishwas ab toa yahi hai
Mein darr darr pe jaakar kyon sirr ko jhukaoon – meri…….

Meri dor kismet tere haath mein hai
Nahin chinta jub ma mere saath mein hai
Teri charan rajj jub mere maathe pe hai
Tere hotey kyon dar kissi se bhi khaoon – meri…….

Dayavaan daati tu hi meherbaan hai
Gunahgaar patiton ki bhi tu hi ma hai
Daya kar bata de tu rehti kahan hai
Shayad tere charanon mein maein pahunch jaaoon – meri…….

Teri mohni moorti garhi mere mann mein
Meri jaan nikle toa teri lagan mein
Na ho pyar dhan mein na ho prem tann mein
Chaman har samay das tera kehlaoon – meri…….

No comments:

Post a Comment