Jai Mata Di
Wo dekho ma bhavani singh per aswar ayi hai
Hamarey vaste sub barkaten wo saath layi hai
Jabhi charnon mein maiya ke yeh sirr tumne jhukaya tha
Tabhi apna pavan ka roop ambe ne banaya tha
Wahi Shakti bhavani teri rug rug mein samayi hai
Samudra mein toofan aya hava ka zor bhara tha
Bhanvar mein aa gaya bera toa baniye ne pukara tha
Meri ma vaishno ne uski bhi bigri banayi hai
Wah har zarrey mein vyapak hai woh har ek mann mein rehti hai
Tabhi toa meri ambe ko yeh duniya Shakti kehti hai
Anekon roop dhaaran kar daya isne dikhayi hai
Meri dati se tum be-mukh kabhi na bhool kar hona
Asshradhdha aur gaflat se kahin Shakti ko na khona
Sabhi abhimani daityon ki alakh ma ne mitayi hai
Meri jwala ke bhandarey se jo maangogey paogey
Chaman phoolo phalogey shradha se jab sirr jhukaogey
Yeh gaatha markande ne devi bhagvat mein gaayi hai
No comments:
Post a Comment