Jai Mata Di
Daya kar doa meri daati daya ki maein bhikari hoon
Maein achchi ya buri ma tere darr ki pujari hoon
Mera duniya se kya naata jo tum de doa sharan mata
Maein auganhari hoon beshak magar dasi tumhari hoon
Meri ma tumne toa ab tak kissi ko na phera khali
Toa phir maein kyon niraash reh rahi mata bechari hoon
Zara meri taraf dekho o unchche parvaton wali
Maein tere pyar mein bhar bhar ke aahen ab toa haari hoon
Nahin duniya ko khush karne ki mere mann mein kuch asha
Mein mann ka chaain chahati hoon phansi mamta mein bhaari hoon
Samajh mein nahin aata meri taqdeer ka chakkar
Saza kis bhool ki hai jo gayi tumse bisari hoon
Issi khatir mujhe charnon se ab tak dooar rakha hai
Ki maein anjaan hoon bhakti mein nirbal hoon anari hoon
Koyi kuch bhi kahe mujhko gila ambe nahin koyi
Chaman ye sach hai maein daati ke geetaon ki pyari hoon
No comments:
Post a Comment