Jai Mata Di
Maye meri uchchyan paharan wali teri sada hi jai
Jotan waliye teri sada hi jai
Laali laali lal chunariya kaise na ma ko bhayey
Yeh laal chunariya nari ke teenon hi roop sajaye
Laali laali lal chunariya kaise na ma ko bhayey
Paavan hoti hai nari ki balavastha
Issliye kanya ki hum kartey hain pooja
Yeh pooja phal deti hai, sukhon ke phal deti hai
Ho sirr pe lekey lal chunariya kanjak ko pooja jayey
Laali laali lal chunariya……………………
Yeh laal chunariya nari……………………
Laali laali lal chunariya……………………
Dujey roop mein aakey nari baney suhagin
Pyar hi pyar bana de yeh apna ghar aangan
Miley jo pyar mein bhakti toa mann pata hai shakti
Ho lal chunariya orh suhagin yah roopvati kehlayey (2)
Laali laali lal chunariya……………………
Yeh laal chunariya nari……………………
Laali laali lal chunariya……………………
Teeja roop hai ma ka jo mamta failayey
Palkon se chun le subki rahon ke kantey
Yeh anchal ki chhaya de toa jeevan ko mehka de (2)
Laali laali lal chunariya……………………
Yeh laal chunariya nari……………………
Laali laali lal chunariya……………………
No comments:
Post a Comment