Thursday, October 27, 2011

Meri maiya bharegi bhandare

Jai Mata Di
Meri maiya bharegi bhandare
Ayey hain jis ke dvarey
Wahi toa kalyan karegi – meri……….

Maiyaji ke dvarey per jo bhi hai aata
Mann ki muraaden hai daati se paata
Sub ki wah bigri sanwarey– meri……….

Mann mein tamannayen laakhon bharin hain
Kayi vaasnayen bhi dil mein dhari hain
Hardum yehi toa pukaren– meri……….

Dukhiyon anathon ki gumkhar mata
Dil mein tumharey bhara pyar mata
Keh rahe hain haath pasarey– meri……….

Hokar namana jo darr tere aya
Tum ne na khaali ussey bhi lautaya
Sukh de diye uss ko hain sarey– meri……….

Sundar chavi tuney jis ko dikhayi
Wahi bhagyashali bana mahamayi
Boley chaman jai jai karey

Ayey hain jis ke dvarey
Wah hi toa kalyan karegi

No comments:

Post a Comment