Wednesday, October 26, 2011

Mahalakshmi strot

Jai Mata Di
Hey Lakshmi ma karun pukar, daati ghar bhar de bhandar
Lakhon baar tujhe pranam, hey ambe pooran kar kaam
Jo vinti karta hai das, unke ghar mein karey nivaas
Tumpey hai dukhiyon ki aas, aao ambe mere paas
Teenon lok ki tu maateshwari, kamal sum netra bhuvneshwari
Brahma, Vishnu, Shiv ke ishwari, raksha kar ambe parmeshwari
Shri Vishnu ke vaksha viraje, kamal phool ka aasan saajey
Poojat hain raje maharaje, darr pe shardey veena bajey
Tu hi sidhdhi sudha medha ho, Vishnu ki karti seva ho
Prabha, ratri, sandhya bhi tu hi, tu hi sarey jug ko mohi
Sukh paatey tere gunn gaa kar, tu hi chandrama tu hi divaakar
Dhan daulat ki tum ho daati, sukh mein sub ka saath nibhaati
Shatru teri kripa mit jaata, sabhi jeev tumse sukh paati
Bhagvati bharo bhandar hamara, ghar mein ho samagri saari
Parivar ko khushhaal banaveyen sarey mere kasht mitaven
Dhan daulat ki kami nahin ho, chinta mann mein koyi nahin ho
Teen hriday sachchayi deejo, das janon per kripa keejo
Teri jispe drishti hoti, nishchay hi sukh sampati hoti
Kamal nain ma hovo prassan, teri daya se jeevan dhanya
Yeh strot parhe jo name, karti Lakshmi un se prem
Ma ki nit jo jyot jallaye, dhan daulat se gHar bhar jayey
Jo ye path parhe nirahaar, Lakshmi bhar deti bhandar
Ambe deti unko taar, jo karta Lakshmi se pyar
Jo nit hi ye stuti gayey, Lakshmi bigrey kaam banaye
Paath karey jo praateh kaal, maiya karti maala maal
Nahin kaamna rahey adhuri, kissi ko na deti majboori
Vedvyas ji inko gayey, Brahma Vishnu sheesh jhukaye
Teri kripa barhi mahan, maein balak maiya anjaan
Shakti ma de humko gyan, raushan ho jug mein toofan

No comments:

Post a Comment