Tuesday, October 4, 2011

Meri aan rakhna meri shaan rakhna

Jai Mata Di

Meri aan rakhna meri shaan rakhna
Meri maiya beti ka tum dhyan rakhna
Banana mere bhagya dukh doour karna
Tum hi lakshmi mere bhandaar bharna
Na niraash darr se mujhe lautana
Sada bairiyon se mujhe tum bachana

Mujhe toa tere per vishwas mera
Tere charnon mein hai namaskar mera
Namaskar parmeshwari indrani
Namaskar jagdambe jug ki maharani
Mera ghar grahasti param sarvada banana
Mujhe naek santan shakti dilana

Sada mere parivar ki raksha karna
Na apradh ko mere dil maahi dharna
Namaskar aur koti pranam mera
Sada hi maein japti rahoon naam tera
Bahut deen balheen hoon maein bhavani
Daya drishti rakhna sada ma shivani

Kabhi aanch mujh pe ma aaney na dena
Madhur apni karuna ko janey na dena
Teri divya jyoti jagey mann ke andar
Kabhi pharak aaye na uske andar
Teri mala ma har pal maein japti rahun
Tera dhyan ambe ma maein karti rahoon

Mere sheesh mamta ki rakhiyo ma chaaya
Mahamaya jaanun na maein teri maya
Koyi shahbhoot mujhko thagey na
Koyi shool sankat ka pug maein lagey na
Mujhe gyan ki tu sudha pilana
Tu andhkaar ma mere mann ka mitana

Mujhe dena nirdosh charan ki dhooli
Tere naam-ratnon se bhar doon maein jholi

No comments:

Post a Comment