Monday, October 3, 2011

Kanya poojan jo karey

Jai Mata Di

Kanya poojan jo karey
Bhavsagar se woh tarey

Chinta unhey satai na
Inka chintan jo karey

Inkey charnon ko jo dho kar paavan amrit paan karey
Manzil ka wo pa jaye rasta har mushkil aasaan karey
Dhan ratnon se jholi bhar de mann se vandan jo karey, Kanya poojan jo karey

Mukhrha aisey chamke jaisey sau sooraj ki dhoop hai
Mann ki ankhon se gar dekho kanya ma ka roop hai
Unki pooja duniya karti inka archan jo karey, Kanya poojan jo karey

Ye toa aisa kalpataru hai jo maango so milta hai
Inki hi nirdosh daya se sookha upvan khilta hai
Kami na unko aati koyi inki pooja jo karey, Kanya poojan jo karey


No comments:

Post a Comment