Monday, April 25, 2011

Tere darr pe ambe mein kab se khara hoon

Jai Mata Di

Tere darr pe ambe mein kab se khara hoon
Tera asra hai tera hai sahara

Tera yash hai kaiyon ne mujh ko sunaya
Suni teri mahima tere darr pe aya
Bhanwar mein hai naiya dikha doa kinara, tera asra............

Kissi ki bhi mujh ko koi chaah nahin hai
Kahegi kya duniya yeh parwah nahin hai
Bana das maiya mein jab se tumhara, tera asra............

Tumhin ne sada meri bigri banayi
Meri mushkilon mein tu hi kaam ayi
Jab bhi meine vardati tumko pukara, tera asra............

Charanon ka hi ma mujhe pyar de doa
Chaman ko bhi daati ma deedar de doa
Tabhi hoga meri jagat mein guzara, tera asra............



No comments:

Post a Comment