Tuesday, April 26, 2011

Meri jagdambe ma-meri jagdambe ma

Jai Mata Di

Meri jagdambe ma-meri jagdambe ma
Yaad karta huun mein-aahen bharta huun mein
Kya mere dukh ki tujh ko khabar hi nahin

Meri duniya mein koi sahara nahin-haan sahara nahin
Ab kissi se bhi naata hamara nahin-haan hamara nahin
Tera darr chorh kar ab mein jaaun kahan-yaad karta huun mein

Mujhko maiya kissi ke na adheen kar-na tu adheen kar
Mein toa huun das tera tu yakeen kar-maiya yakeen kar
Bakshaney ko gunaah mere karde tu haan-yaad karta huun mein

Meri taqdeer tumne banani hai-ma banani hai
Mere sirr se yeh mushkil hatani bhi hai-ma hatani bhi hai
Kis kadar mushkalon mein huun maiya fansa-yaad karta huun mein

Khoti taqdeer jo mere mann bha gayey-mann bha gayey
Mere ban kar mujhe loot kar kha gaye-loot kar kha gaye
Chaman kaise rahe saath un ke bhala
Jin ke dil mein meri kutch kadar hi nahin-yaad karta huun mein




No comments:

Post a Comment