Wednesday, April 6, 2011

Mann lekey aya mata rani ke bhavan mein

Jai Mata Di

Mann lekey aya mata rani ke bhavan mein (2)
Bada such paya mata rani ke bhavan mein (2)
Mann lekey aya mata rani ke bhavan mein (2)
Jai-jai ma ambe ma (2)
Jai-jai ma jagdambe ma (2)

Mein jaanu vaishnav mata oonche bhavan ki maya
Bhairav per krodh mein aakar ma tooney trishool uthaya (2)
Ho parvat jahan pe tooney shakti ka roop dikhaya
Bhakton ne vahin pe maiya tere naam ka bhavan banaya
Bada such paya mata ………………
Mann lekey aya mata ………………
Jai-jai ma ambe ma …………………
Jai-jai ma jagdambe ma ……………..

Tere tez mein jwala jab ujiyara failaya
Shehenshah akbar nangey pairon tere dwar mein aya
Teri jug-mug jot ke aagey shradha se sheesh jhukaya
Teri shobha dekhi soney ka chatra charhaya

Bada such paya mata ………………
Mann lekey aya mata ………………
Jai-jai ma ambe ma …………………
Jai-jai ma jagdambe ma ……………..

Hey chintpurni mata teri mahima subse nyari
Dey mayi das ko darshan tu bhakton ki hai pyari
Jo karey ma tera chintan tu chinta har de saari
Tere bhavan se jholi bhar ke jaate hain sub pujari

Bada such paya mata ………………
Mann lekey aya mata ………………
Jai-jai ma ambe ma …………………
Jai-jai ma jagdambe ma ……………..

Ma naina devi tooney yeh naam bhakton se paaya
Naina goojar ko tooney sapne mein darsh dikhaya
Adesh pe tere usne ma tera mandir banvaya
Jeevan bhar baith bhavan mein ma tera hi gunn gaya

Bada such paya mata ………………
Mann lekey aya mata ………………
Jai-jai ma ambe ma …………………
Jai-jai ma jagdambe ma ……………..

No comments:

Post a Comment