Friday, April 22, 2011

O dason ki bigri bana dene wali

Jai Mata Di

Ma chinta ke chakkar hata dene wali
O dason ki bigri bana dene wali

Tere dum se dum mere jivan mein aya
Daya se teri izzat aur maan paaya
Yeh yash robe yeh tez tum ne barhaya
Tu hai sub ki asha puja dene wali, O dason………………

Teri jot mein jo nazara hai dekha
Asal roop ambe tumhara hai dekha
Chupa usmein sansar sara hai dekha
O jyoti se jyoti jala dene wali, O dason………………

Tere baayen netra mein brahma samaye
Daayen netra mein nazar Vishnu ji aaye
Maha kaal mastak ka netra dikhaye
Garaj kar o duniya hila dene wali, O dason………………

Tere darr pe jhukte hain duniya ke wali
Tere darr ki hai ridhdhi sidhdhi sawali
Hai taqdeer ki dori tum ne sambhali
Gunaah papiyon ke bhula dene wali, O dason………………

Dayalu bhavani daya karti ja tu
Sawali ke bhandare ma bharti ja tu
Chaman ke bhi sirr haath dharti ja tu
O dason ki asha puja dene wali, O dason………………

No comments:

Post a Comment