Wednesday, December 22, 2010

Meri bigri banane ko, meri jagdambe ayegi

Jai Mata Di

Meri bigri banane ko, meri jagdambe ayegi (2)
Meri ujrhi basane ko, meri jagdambe ayegi (2)

Yeh swarth se bhari duniya kisika dard kya jane (2)
Koi nirash jivan se hai koi sach kya mane (2)
Mujhe dheeraj dharane ko meri jagdambe ayegi (2)

Meri bigri banane ko, meri jagdambe ayegi (2)
Meri ujrhi basane ko , meri jagdambe ayegi (2)

Mujhe maa ka bharosa hai mujhe maa ka sahara hai (2)
Bhavani ki daya se hi mera chalta guzara hai (2)
Meri mushkil hatane ko meri jagdambe ayegi (2)

Meri bigri banane ko, meri jagdambe ayegi (2)
Meri ujrhi basane ko , meri jagdambe ayegi (2)

Mein bhakti chorh ambe ki kisi ka naam kyon dhyaoun (2)
Sahara chorh janani ka kisiki sharn kyon jaoun (2)
Mujhe rasta dikhane ko meri jagdambe ayegi (2)

Meri bigri banane ko, meri jagdambe ayegi (2)
Meri ujrhi basane ko , meri jagdambe ayegi (2)

Pavan ka roop dhar ayi jabhi baniye ne pukara tha
Bhakt dhyanu ka har ek kaam maiya ne sanwara tha
Laaj meri bachane ko meri jagdambe ayegi (2)

Meri bigri banane ko, meri jagdambe ayegi (2)
Meri ujrhi basane ko , meri jagdambe ayegi (2)

Paharon ki gufaon mein bhavan maa ka nirala hai (2)
Chaman yeh vaishno hi chandi mahakali jawala hai (2)
Mujhe darshan dikhane ko meri jagdambe ayegi (2)

Meri bigri banane ko, meri jagdambe ayegi (2)
Meri ujrhi basane ko , meri jagdambe ayegi (2)









1 comment: