Tuesday, December 14, 2010

Jis pe jagdambe kripa kar de

Jai Mata Di

Jis pe jagdambe kripa kar de
Usko na rehti hai koi bhi chaah

Jis sees pe haath bhavani dhare
Usey phir duniya ki kya parvah

Uss shakti ka jise gyan rahe
Maiya ka hardum dhyan rahe
Wo jeev hi shaktiman rahe
Jiska chitt charnon mein hai laga
Jis sees pe haath bhavani dhare
Usey phir duniya ki kya parvah

Brahma ke roop brahmani bani
Vishnu anshi maharani bani
Voh mahan vikral bhavani bani
Daiton ko jis ne kina tabah
Jis sees pe haath bhavani dhare
Usey phir duniya ki kya parvah

Woh ashtabhuji shaktishali
Who runchandi who mahakali
Jagjambe woh sheran wali
Jiski hai himalaya mein sundar gufa
Jis sees pe haath bhavani dhare
Usey phir duniya ki kya parvah

Who maa hai pyar karengi tumhe
Bhav se bhi paar karegi tumhe
Na kabhi inkar karegi tumhe
Ek baar tu uski sharan mein aa
Jis sees pe haath bhavani dhare
Usey phir duniya ki kya parvah

Yeh chinta duur hata degi
Teri bigri chaman bana degi
Tujhe darshan bhi dikhla degi
Bhetan iski hi tu gaata ja
Jis sees pe haath bhavani dhare
Usey phir duniya ki kya parvah


No comments:

Post a Comment