Monday, December 13, 2010

mera ghar-gryhasthi swarg-sum banana

Jai Mata Di

namaskar jagdambe jag ki maharani

mera ghar-gryhasthi swarg-sum banana
mujhe nek santan shakti dilana

sada mere paivar ki raksha karna
na apradh ko mere dil mahi dharna

namaskar aur koti pranam mera
sada hi mein japti rahun naam tera

bahut deen balheen hun mein bhavani
daya drishti rakhna sada maa shivani

kabhi aanch mujhpe maa aane na dena
maa dour apni karuna ko jane na dena

teri divya jyoti jage maan ke andar
kabhi fark aaye na maa uske andar

teri mala hi har pal japti rahun mein
tera dhyan ambe maa karti rahun mein

mere sheesh mamta ki rakhiyo maa chaya
mahamaya janu na mein teri maya

koi daar koi bhoot mujhko lage na
koi shool sankat ka pag mein lage na

mujhe gyan ki tu sudha maa pilana
tu andhkar maa mere maan ka mitana

mujhe dena nirdosh charnan ki dhuli
tere naam ratnon se bhar lun mein jholi

teri bhakti ban jaye maan ka khajana
mera ghar-gryhasti swarg-sum banana

No comments:

Post a Comment