Wednesday, December 15, 2010

maa ki mahima

Jai Mata Di

mitti ka tan hua pavitra
Ganga ke snan se
antehkaran ho jaya pavitra
jagdambe ke dhyan se

sarv mangal mangalye shive sarvarth sadhike
sharanya trayambake gauri narayani namastute

shakti, shakti doa mujhe karun tumhara dhyan
paath nirvighna ho tera mera ho kalyan

hridhay sinhasan per aa baitho meri maat
suno vinay mum deen ki jagjanani vardaat

sundar deepak ghee bhara aaj karun taiyar
gyan ujala maa karo meto moh andhkar

chandra kiran ki roshni chamke chaman akhand
sub mein vyapak tez hai jwala ka prachand

jwala jagjanani meri raksha karo hamesh
dour karo maa ambike mere sabhi kalesh

shradha aur vishwas se teri jyot jalaun
tera hi hai asra tere hi guun gaoun

teri adbhut gatha ko parun mein nishchay dhaar
saakshaat darshan karun tere jagat aadhaar

maan chanchal paath ke samay jo avguun hoi
daati apni daya se dhyaan na dena koi

mein anjaan maleen maan na janun koi reet
atpat vani ko hi maa samjho meri preet

bhakt ke avguun bahut hain karna nahin dhyaan
sinhvahini ambike karo mera kalyan

dhanya dhanya maa ambike shakti shiva vishal
ang ang mein rum rahi daaati deen dayal
12/13/10by pramila juneja

No comments:

Post a Comment