Friday, March 23, 2012

Navdurga ki bhent


Jai Mata Di
 
Aho maat jug taaran maya
Nau durgey ne roop dhara koyi nyara-nyara
Prathmey mata, shailputri ka naam dharaye
Giri ki putri ho Shankar ka dhyan lagayey
Bhayi tapasya poorna maat ne bahu var paayey
Shivshankar kailashpati ko pati banayey
Shiv ko pati banayey ke ji bhyah racha maharaj
Pratham shailputri bhayi keena jug ka kaaj, maat………………………..

Dvitiye apna roop brahm ne aap dikhaya
Sub jug mein kiya vaas jyoti bhayi mohan maya
Jwalamukhi pahaar aan ek sthaan banvaya
Agni roop ho aiy maat ne khel rachaya
Dvitiye brahmacharini bhayi jo sub jug kiya prakash
Santjanon ki kari palna dushton ka kar naash, maat………………………..

Triteeye brahma Vishnu mayi ko sheesh navayein
Devan ke mahadev mayi ka dhyan laganvein
Indradik sur dev maat ne sub upjayey
Apna kaarya karo hum tumhein sunaayein
Triteeya chandraghanta bhayi ji, tumra ghanta shabd sunayi
Teen lok taaran taran mastak suhaiy, maat………………………..

Chaar karm chaar varn maatu ne aap banaye
Brahman kshatri vaishya shudra jinke naam dharaye
Tupp karne ko maat brahman dharam chalaye
Yudh vidya ke kaaran khsatri paramparayey
Vaishya udar vyaapar ko ji shudra ko seva deen
Kushmaandatey chaturthkum chautha roop dhar leena, maat………………………..

Paanchon devta maat aapne liye bulaye
Safal jagat vikhyaat maat ki sharni aayey
Aagya deu charan per sheesh navaey
Tum tupp karney ko chal diye ji brahma, Vishnu, Mahesh
Pancham skandamateti maein sumrun adi ganesh, maat………………………..

Sub devan ke hetu mahamayi ban aayi
Ang jwala maatu jwala ji jyoti sawayi
Jal vich darshan diya jhalakti kal dikhayi
Dekh roop vikraal devan mann dheeraj ayi
Sabhi dev stuti karein ji tum suno gareeb nawaj
Shashtam katyayani bhayi raakhi bhakt ki laaj, maat………………………..

Saptam kali roop kalika kaal banao
Dharmaraj dhara naam dharm ko vachan sunao
Asur bidaran kaaran aap deevan lagao
Apni bhrikuti khol kaal bhairon upjao
Ratnagiri per ayai ke ji asuran khet bichaye
Saptam kaalratri ka bana roop na barna jayey, maat………………………..

Sur nar muni jan sakal devta mangal gaavein
Ashta pehar din raein shesh meri stuti gayein
Kar kripa kripaal bhavani sub jan dhyayey
Ashtbhuji singh vahini ji deenon dal sanhaar
Mahagari ke bhesh mein lakhiya roop apaar, maat………………………..

Naunvein durga maat, maatu ka dhyan lagaye
Nau nath chaurassi sidhdh tere dwaar ayey
Naarad dharein dhyan indra teri arati utaarein
Pandit aasan baith ke chandi paath sunayey
Naunvein sidhdhidhatritiya jo nav durga prakritarta
Jananaath sharani parhey tum hi maat pita, maat………………………..



No comments:

Post a Comment