Friday, March 2, 2012

Mere mann ke andhtamas mein Jyotirmayi utaro

Jai Mata Di

Jai jai ma, jai jai ma (4)

Mere mann ke andhtamas mein
Jyotirmayi utaro
Jai jai ma, jai jai ma (4)

Kahan yahan devon ka nandan (2)
Malyachal ka abhinav chandan (2)
Mere ur ke ujrey mann mein
Karunamayi vichro
Mere mann ke andhtamas mein
Jyotirmayi utaro
Jai jai ma, jai jai ma (4)

Nahin kahin kuch mujh mein sundar (2)
Kajal sa kala ye antar (2)
Pronon ke gehrey kahvar mein
Mamtamayi vighro
Mere mann ke andhtamas mein
Jyotirmayi utaro
Jai jai ma, jai jai ma (4)

No comments:

Post a Comment