Wednesday, February 1, 2012

Ma ki arati

Jai Mata Di

Hey maat meri hey maat meri
Kaisi yeh daer lagayi hai Durge

Bhavsagar mein gira parha hoon
Kaam adi grah se ghira parha hoon
Moh adi jaal mein jakrah parha hoon
Hey maat meri hey maat meri
Kaisi yeh daer lagayi hai Durge

Na mujhmein bal hai na mujhmein vidya
Na mujhmein bhakti na mujhmein shakti
Sharan tumhari gira parha hoon
Hey maat meri hey maat meri
Kaisi yeh daer lagayi hai Durge

Na koyi mera kutumb saathi
Na hi mera shareer saathi
Aap hi ubaro pakarh ke baheen
Hey maat meri hey maat meri
Kaisi yeh daer lagayi hai Durge

Charan kamal ko nauka bana kar
Maein paar hounga khushi mana kar
Yumdooton ko maar bhaga kar
Hey maat meri hey maat meri
Kaisi yeh daer lagayi hai Durge

Sada hi tere gunnon ko gaun
Sada hi tere swaroop ko dhyaun
Nit prati tere gunnon ko gaun
Hey maat meri hey maat meri
Kaisi yeh daer lagayi hai Durge

Na maein kissi ka na koyi mera
Chaya hai charon taraf andhera
Pakar ke jyoti dikha doa rasta
Hey maat meri hey maat meri
Kaisi yeh daer lagayi hai Durge

Sharan parhey hain hum tumhari
Karo ye naiya paar hamari
Kaisi yeh daer lagai hai Durge
Hey maat meri hey maat meri
Kaisi yeh daer lagayi hai Durge

No comments:

Post a Comment