Monday, February 6, 2012

Bhakton ko darshan de gayi re ek choti si kanya

Jai Mata Di
Bhakton ko darshan de gayi re ek choti si kanya
Choti si kanya, maiya choti si kanya (2)
Bhakton ko darshan de gayi re ek choti si kanya…… (2)

Bhakton ne poocha maiya naam tera kya hai
Naam tera kya hai, naam tera kya hai
Bhakton ne poocha maiya naam tera kya hai
Vaishno ma batla gayi re ek choti si kanya
Bhakton ko darshan…………………………………………………

Bhakton ne poocha maiya dhaam tera kya hai
Dhaam tera kya hai, dhaam tera kya hai
Bhakton ne poocha maiya dhaam tera kya hai
Parvat Trikoot batla gayi re ek choti si kanya
Bhakton ko darshan…………………………………………………

Bhakton ne poocha ma sawari teri kya hai
Sawari teri kya hai, sawari teri kya hai
Bhakton ne poocha ma sawari teri kya hai
Peela sher batla gayi re ek choti si kanya
Bhakton ko darshan…………………………………………………

Bhakton ne poocha ma prasad tera kya hai
Prasad tera kya hai, prasad tera kya hai
Halwa poori chana batla gayi re ek choti si kanya
Bhakton ko darshan…………………………………………………

Bhakton ne poocha ma shingaar tera kya hai
Shingaar tera kya hai, shingaar tera kya hai
Chola lal batla gayi re ek choti si kanya
Bhakton ko darshan…………………………………………………

Bhakton ne poocha ma shastra tera kya hai
Shastra tera kya hai, shastra tera kya hai
Bhakton ne poocha ma shastra tera kya hai
Trishool chakra batla gayi re ek choti si kanya
Bhakton ko darshan…………………………………………………

Bhakton ne poocha subse pyara tera kya hai
Pyara tera kya hai, pyara tera kya hai
Bhakton ne poocha subse pyara tera kya hai
Bhakton ka pyar batla gayi re ek choti si kanya

Choti si kanya ek choti si kanya
Bhakton ko darshan…………………………………………………

No comments:

Post a Comment