Saturday, February 18, 2012

Aa gayi Mahashivaratri

Jai Mata Di

Aa gayi Mahashivaratri, padharo Shankar ji
Ho, padharo Shankar ji……………………………….

Arati utaarein, paar uataro Shankar ji
Ho, padharo Shankar ji……………………………….

Tum nayan nayan mein ho, mann mann mein dhaam tera
Hey neelkantha hai kantha kantha mein naam tera,
Ho devon ke dev, jagat ke pyarey Shankar ji
Ho, padharo Shankar ji……………………………….

Tum rajmahal mein tumhi bhikhari ke ghar mein
Dharti per terey charan, mukut hai amber mein
Sansar tumhara ek hamarey Shankar ji
Ho, padharo Shankar ji……………………………….

Tum duniya basa kar bhasm ramaney waley ho
Paapi ke bhi rakhwaley bholey bhaley ho
Duniya mein bhi doa din toa guzaro Shankar ji
Ho, padharo Shankar ji……………………………….

Kya bhent charhaein tann maila ghar soona hai
Le lo aansoo mein ganga jal ka namoona hai
Aa kar ke nayan mein charan pakharo Shankar ji
Ho, padharo Shankar ji…………………..
Aa gayi Mahashivaratri…………………………


1 comment: