Thursday, January 26, 2012

Teri dagaria mein ma unchi ataria mein

Jai Mata Di

Teri dagaria mein ma unchi ataria mein (2)
Jo bhi ayey sub kuch payey teri nagaria mein
Teri dagaria mein ma unchi ataria mein……………………………

Aas poori tu karti hai khaali jholi tu bharti hai (2)
Waqt se pehle o…….o……..o………..o………..
Waqt se pehle kismet se zyada teri sharan mil jaata hai
Daati bantey bhar-bhar khushiyan, baandh gathariya le
Teri dagaria mein ma unchi ataria mein……………………….

Tera mandir rab ka darr hai tera angan sub ka ghar hai (2)
Teri chattar mein ho…….ho……..ho………..ho………..
Teri chattar mein koyi na tarsey tere bhavan mein mamta barse
Subko milti meethi chaya teri chunariya mein

Teri dagaria mein ma unchi ataria mein……………….
Jo bhi ayey sub kuch payey teri nagaria mein
Teri dagaria mein ma unchi ataria mein……………………………

No comments:

Post a Comment