Monday, January 9, 2012

Jisey daati ki shakti per sada vishwas aya hai

Jai Mata Di

Jisey daati ki shakti per sada vishwas aya hai
Wahi hai bhagyashali jis ne ambe ko dhyaya hai

Kissi haalat mein bhi uss ko nirasha ho nahin sakti
Jisey ma vaishno ne apne charnon mein lagaya hai

Meri ma ki bhujaon mein toa shakti hi nirali hai
Ki jiska daitya aur devon ney bhi na bhaed paya hai

Jo hona hai woh ho kar hi rahega iss mein kya chara
Magar yeh bhi toa such hai ma ne dason ko bachaya hai

Koyi hai mann ka abhimani kissi ko maan taqat ka
Magar maeine hamesha hi sahara ma ka paya hai

Chaman dati ki kripa hai tujhe toa ho gaya anubhav
Tabhi ma daurh kar ayi jabhi tum ne bulaya hai

No comments:

Post a Comment