Wednesday, December 21, 2011

Meri maiya jinne dhyayi (in two parts) Part 1

Jai Mata Di
Meri maiya jinne dhyayi
Ma daud paharon ayi
Adi ganesh ka sumiran karke sharda maat dhyata hoon
Jagdambe ki adbhut leela aaj maein tumhe sunata hoon
Daati barhi dayalu hai phir daya ka hi bhandar yahi
Nishchay karke chaman dekh lo banti hai rakhwar yahi
Poona shahar ke gaavon mein ek seetal bhakt ji rehte thay
Masti uski dekh ke sub hi paagal uss ko kehte thay
Ichra naami patni uski jagdambe ki pyari thi
Gaavon ki wah sundari thi aur ayu mein sukhmaari thi
Thorha arsa hua tha bhyah ko navratron ke din aaye
Durga poojan vidhi sahit ichra ne ghar mein karvayey
Paagal seetal naach naach kar geet maiya ke gaata tha
Jagratey ki jot hamesha apne haathon jalata tha
Ek samay ki baat hai paagal ne ghar bhakt bula karke
Jagrata aarambh kiya janani ki jot jala karke
Jot jalata mata ki masti mein aata jaata tha
Jhoom jhoom kar maiya chaman wah gaata jaata tha
Jot jagandey maiya, yash tera gaandey maiya
Vaari vaari jaavan teryan santan toan…………………….
……………………………………………………………………………….

No comments:

Post a Comment