Wednesday, March 2, 2011

Om namah Shivaya bolo Om namah Shivaya


Jai Mata Di

Om namah Shivaya bolo Om namah Shivaya – 2
Shiv shambhu ka mahamantra hai, mukti ka upaya
Om namah Shivaya…………………………….

Jab-jab doley jivan naiya shiv ki mahima gao
Sare jug ke hain woh khivaiya shiv ki sharan mein aao
Sankat ayey kasht rulaye jub jub ji ghabraye – 2
Om namah Shivaya…………………………….

Subse pyare subse nyare baba bhole bhale hain
Bhaang dhature ki masti mein rehte mast niraley hain
Bum-bum bhole kehte jao jo sub aye jaye – 2
Om namah Shivaya…………………………..

Aadha chanda mathey sohey gull sarpon ki mala
Tejdhari ke tej se paye suraj se ujyala
Dum-dum damru bole shiv ka saton sur dohraey – 2
Om namah Shivaya…………………………………

Vipda ayi ram pe bhari shiv-shakti ka jaap kiya
Bajrangi ki shakti bankey ram ka shiv ne saath diya
Rameshwar ki puja karte ram yahi farmaye – 2
Om namah Shivaya……………………….

No comments:

Post a Comment