Wednesday, March 23, 2011

Jagdambe ke charnon mein sirr ko jhuka ke dekh le

Jai Mata Di

Jagdambe ke charnon mein sirr ko jhuka ke dekh le
Sunti hai sub ki chaman tu bhi suna ke dekh le

Karmon ke marey bashar kyon bhatakta hai durr badurr
Kar raha jivan tabbah kyon sachche durr ko chorh kar
Milta hai sub kutch yahan jholi faila kar dekh le. Sunti hai sub ki ……..

Havas ka banda na bun bechain ho dukh payega
Maiya per vishvas rakh jo mangega mil jayega
Pakka dil kar baat meri aazma kar dekh le. Sunti hai sub ki ……..

Ashtbhuji maiya ke aadhon haathon mein bhandar hai
Apne daason ke liye dati ke dil mein pyar hai
Sachche mann se ambe ke charnon mein aakey dekh le. Sunti hai sub ki ………..

Maiya ki mudhdhi mein hai yah sarey such sansar ke
Ek nazarey karam dho de gunaah gunahgar ke
Hriday ki bina pe ma ke geet ga kar dekh le. Sunti hai sub ki ………….

Chaman zarre-zarre mein ma shakti ka hi noor hai
Teri rug-rug mein samayi hai na tujh se doour hai
Aankhon se duee ka tu parda hata kar dekh le.Sunti hai sub ki ………

No comments:

Post a Comment