Thursday, November 25, 2010

Tera darshan karne aaoun

Jai Mata Di

tera darshan karne aaoun log kahen jai mata ki (4)
tera darshan karke aaoun log kahen jai mata ki (4)
oonchi lambi teri charhayi pehle bahut daraati hai (4)
sabko dene wali sahare baanh pakarh le jaati hai (4)

jab bhi kadam mein aage barhaoun log kahen jai mata ki (4)
tera darshan karne aaoun log kahen jai mata ki
tera darshan karke aaoun log kahen jai mata ki

karmon wale hi daati pourhi teri charh paate hain
swarg si lagti hai yeh teri seerhi devta aate jaate hain
aata jaata sheesh jhukaoun log kahen jai mata ki (4)
tera darshan karne aaoun log kahen jai mata ki
tera darshan karke aaoun log kahen jai mata ki

maa ke iss jaikaare mein hi sub vedon ka saar hai
shakti ke iss jaikare mein hi shakti maa ki apaar hai
jab tera jaikara bulaoun log kahen jai mata ki (4)
tera darshan karne aaoun log kahen jai mata ki
tera darshan karke aaoun log kahen jai mata ki

jo bhi maa kaa dhyan lagaaey maa ke dhyaan mein aata hai
jo guun maa bholi ke gaaye woh guunwaan ho jaata hai
jab-jab teri bhenten gaoun log kahen jai mata ki (4)
tera darshan karne aaoun log kahen jai mata ki
tera darshan karke aaoun log kahen jai mata ki

No comments:

Post a Comment