Monday, November 22, 2010

Hey Maa Mujhko Aesa Ghar De

Jai Mata Di

Hey Maa Mujhko Aesa Ghar De Jisme Tumhara Mandir Ho

hey maa mujhko aesa ghar de jisme tumhara mandir ho(4)
jyoti jage din raain tumhari tum mandir ke andar ho (4)
hey maa.......he maa.......he maa.........he maa........(4)

ek kamra ho jisme tumhara aasan mata saja rahe (2)
har pal har kchaan bhakton ka wahan aana jana laga rahe (2)

jyoti jage din raain tumhari tum mandir ke andar ho (2)

hey maa mujhko aesa ghar de jisme tumhara mandir ho(2)

jyoti jage din raain tumhari tum mandir ke andar ho (2)

hey maa.......he maa.......he maa.........he maa........(4)

uss ghar se koi bhi khaali kabhi sawali jaye naa (2)
chaain na paoun tab tak daati jab tak chaain woh paye na (2)
mujhko do vardaan daya ka tum toa daya ke sagar ho

jyoti jage din raain tumhari tum mandir ke andar ho (2)

hey maa mujhko aesa ghar de jisme tumhara mandir ho(2)

jyoti jage din raain tumhari tum mandir ke andar ho (2)

hey maa.......he maa.......he maa.........he maa........(4)

har ek praani uss ghar ka maa teri mahima gaata rahe (2)
tu rakhe jis haal mein daati har pal shukar manata rahe (2)
kabhi na himmat haare maata chaahe samay bhayankar ho (2)

jyoti jage din raain tumhari tum mandir ke andar ho (2)

hey maa mujhko aesa ghar de jisme tumhara mandir ho(2)

jyoti jage din raain tumhari tum mandir ke andar ho (2)

hey maa.......he maa.......he maa.........he maa........(4)

No comments:

Post a Comment