Jai Mata Di
Saari saari raat jagrate mein jot jagi (2)
jaag parhe mere yeh naseeb
ma ambike jaag parhe mere yeh naseeb (2)
mujh se toa zindagi ney chaain paya
ayi maiya gharhi yeh ajeeb
ma ambike jaag parhe mere yeh naseeb (2)
saari saari raat...........................................
jab se ma akhkhiyon mein chaya tera noor hai
dukhkhon ka andhera sub ho gaya dooar hai
atma ki pal mein hi bujh gayi pyaas hai
tujh pe ma aur pakka ho gaya vishwas hai
poonji mujhe mil gayi ma tere deedaar ki
kaun mujhe kehta hai gareeb
ma ambike jaag parhe mere yeh naseeb (2)
saari saari raat...........................................
bund kar akhkhiyon ko daekhi karaamat hai
charnon mein sirr mera sirr pe tera haath hai
mujhe teri mamta ne seeney se laga liya
phal maeine pichli tapasya ka phal pa liya
mit gayi hai peerha sub mere kayi janamon ki
jub se tu ban gayi meri ma
ma ambike jaag parhe mere yeh naseeb (2)
saari saari..................................................
jaag parhe.................................................
rehmaton ke sarey darvazey aaj khull gayey
pichley koyi punya jaag paap mere dhull gayey
ho teri nirdosh daya jaadu sa hai kar gayi
tu hi tu hi rut lagi hai maein meri marr gayi
de de vardaan ab sada ke hi liye mujhe
charnon ke rahoon maein kareeb
ma ambike jaag parhe mere yeh naseeb (2)
saari saari................................................
No comments:
Post a Comment