Jai Mata Di
Aho maat jug
taaran maya
Nau durgey ne
roop dhara koyi nyara-nyara
Prathmey mata,
shailputri ka naam dharaye
Giri ki putri ho
Shankar ka dhyan lagayey
Bhayi tapasya
poorna maat ne bahu var paayey
Shivshankar
kailashpati ko pati banayey
Shiv ko pati
banayey ke ji bhyah racha maharaj
Pratham
shailputri bhayi keena jug ka kaaj, maat………………………..
Dvitiye apna roop
brahm ne aap dikhaya
Sub jug mein kiya
vaas jyoti bhayi mohan maya
Jwalamukhi pahaar
aan ek sthaan banvaya
Agni roop ho aiy
maat ne khel rachaya
Dvitiye
brahmacharini bhayi jo sub jug kiya prakash
Santjanon ki kari
palna dushton ka kar naash, maat………………………..
Triteeye brahma
Vishnu mayi ko sheesh navayein
Devan ke mahadev
mayi ka dhyan laganvein
Indradik sur dev
maat ne sub upjayey
Apna kaarya karo
hum tumhein sunaayein
Triteeya
chandraghanta bhayi ji, tumra ghanta shabd sunayi
Teen lok taaran
taran mastak suhaiy, maat………………………..
Chaar karm chaar
varn maatu ne aap banaye
Brahman kshatri
vaishya shudra jinke naam dharaye
Tupp karne ko
maat brahman dharam chalaye
Yudh vidya ke
kaaran khsatri paramparayey
Vaishya udar
vyaapar ko ji shudra ko seva deen
Kushmaandatey
chaturthkum chautha roop dhar leena, maat………………………..
Paanchon devta
maat aapne liye bulaye
Safal jagat
vikhyaat maat ki sharni aayey
Aagya deu charan
per sheesh navaey
Tum tupp karney
ko chal diye ji brahma, Vishnu, Mahesh
Pancham skandamateti
maein sumrun adi ganesh, maat………………………..
Sub devan ke hetu
mahamayi ban aayi
Ang jwala maatu
jwala ji jyoti sawayi
Jal vich darshan
diya jhalakti kal dikhayi
Dekh roop vikraal
devan mann dheeraj ayi
Sabhi dev stuti
karein ji tum suno gareeb nawaj
Shashtam
katyayani bhayi raakhi bhakt ki laaj, maat………………………..
Saptam kali roop
kalika kaal banao
Dharmaraj dhara
naam dharm ko vachan sunao
Asur bidaran
kaaran aap deevan lagao
Apni bhrikuti
khol kaal bhairon upjao
Ratnagiri per
ayai ke ji asuran khet bichaye
Saptam kaalratri
ka bana roop na barna jayey, maat………………………..
Sur nar muni jan
sakal devta mangal gaavein
Ashta pehar din
raein shesh meri stuti gayein
Kar kripa kripaal
bhavani sub jan dhyayey
Ashtbhuji singh
vahini ji deenon dal sanhaar
Mahagari ke bhesh
mein lakhiya roop apaar, maat………………………..
Naunvein durga
maat, maatu ka dhyan lagaye
Nau nath
chaurassi sidhdh tere dwaar ayey
Naarad dharein
dhyan indra teri arati utaarein
Pandit aasan
baith ke chandi paath sunayey
Naunvein
sidhdhidhatritiya jo nav durga prakritarta
Jananaath sharani
parhey tum hi maat pita, maat………………………..
No comments:
Post a Comment