Jai Mata Di
O aye tere bhavan, de de apni sharan (2)
Rahe tujhmein magan, thaam kar ye charan
Tann mann mein bhakti jyoti teri hai mata jalti rahe (2)
Utsav manayen naachen gaayen, chalo maiya ke darr jayen
Jai mata di
Charon dishayen char kanden bani hain
Mandap pe aasman ki chaadar tani hai
Suraj ki kirnon ki mala le aaya
Kudrat ne dharti ka aangan sajaya
Kar ke tere darshan jhoome dharti gagan
Sunsun gaye pavan, sabhi tujh mein magan
Tann mann mein………………..
Phoolon ne rangon se rangoli sajayi
Sari dharti ye mehkayi, Jai mata di
Charnon mein behti hai Ganga ki dhara
Arati ka deep lagey har ek sitara
Purvaiya dekho chanvar kaise jhulaye
Rituyen bhi mata ka jhoola jhulayen
Pakey bhakti ka tann, hua paavan ye mann
Karke tera sumiran, khuley antarmann
Tann mann mein ………
No comments:
Post a Comment