Jai Mata Di
Sab chorh gaye bari bari, kar kripa mujh par mahtaari
Jisne bhi tum ko yaad kiya, uski tu bigri bana hi gayi
Dason ke kasht mitane ko, tu pawan roop dhar aa hi gayi
Kyon chup ho ab meri bari, kar kripa mujh par mahtaari
Sab chorh gaye bari bari, kar kripa mujh par mahtaari
Tu maa hai tere hriday mein, apne bachchon ka pyar bhi hai
Tera haath hamare sar per hai, maiya ye hamen itbaar bhi hai
Phir kyon jeene se hai laachari, kar kripa mujh par mahtaari
Sab chorh gaye bari bari, kar kripa mujh par mahtaari
Jab swarthy duniyadaron ne, humse hai naata torh liya
In matlabi rishtedaron ne, jab dukh mein mukhrha morh liya
Kyon hut ti nahi moh bimari, kar kripa mujh par mahtaari
Sab chorh gaye bari bari, kar kripa mujh par mahtaari
Mere bhatakte maan ko jagdambe, charnon mein aaj laga lena
Gaflat se lut ta jata hun, jug janani mujhe bacha dena
Yeh hi ehsaan karo bhari, kar kripa mujh par mahtaari
Sab chorh gaye bari bari, kar kripa mujh par mahtaari
Kuch gum hi nahi duniya ruthe, yadi teri kripa saath rahe
Na kuch bhi chaman ka bigrega yadi tera sar per haath rahe
Charnon mein jhuke duniya saari, kar kripa mujh par mahtaari
Sab chorh gaye bari bari, kar kripa mujh par mahtaari
No comments:
Post a Comment