Tuesday, October 20, 2015

Tere darr pe aa ke

Jai mata di

Tere darr pe aa ke
Hamein lagan lagi hai bhakti ki
Hamein rang charha hai bhakti ka
Hamein bhakt bana ke maiya tu
Marg dikha de mukti ka, Jai mata di

Tere ghar pe aakar mil gaya thikana mujhe ma
Sheranwali  jotanwali
Ab charnon mein tere jeevan bitana mujhe ma
Maiya teri bhakti mein doobi maein bhi doobi re
Tere ghar pe aakar mil gaya thikana mujhe ma
Sheranwali  jotanwali

Jug ne hamein tha thukraya
Tuu ne ma humko apnaya
Anchal ki di haemin chaya
Mamta ka diya humko saaya
Rehmat ka teri mil gaya khazana mujhe ma
Maiya teri bhakti mein doobi maein bhi doobi re
Tere darr pe aakar mil gaya thikana mujhe ma
Sheranwali  jotanwali

Chaya tha gamm ka andhera
Tuu ne dikhaya ma savera
Diya tuu ne humko basera
Bhooloon na maein upkar tera
Ab lagta hai jeevan sapna suhana mujhe ma
Maiya teri bhakti mein doobi maein bhi doobi re
Tere darr pe aakar mil gaya thikana mujhe ma
Sheranwali  jotanwali





No comments:

Post a Comment