Tuesday, October 13, 2015

Ma ki mahima

Jai  mata di

Ma  ki mahima aparampar
Sachche mann se jai mata ki, jai mata ki
Bolo sub ek baar

Tujhmein mujhmein  sare jug mein
Ma ka noor samaya
Janey kis-kis roop mein hum ne
Ma ka darshan paya
Jaaan gaya jo bhed ye uska
Sanvar gaya sansar
Ma  ki mahima........................

Ma ka naam zubaan se lekar
Hum sub jug mein ayey
Ma ka simran karnewala
Kabhi kasht nahin payey
Subko mila hai ma ki paavan mamta ka uphar
Ma  ki mahima........................

Ma se barh ke na koyi teerath
Na kaaba na Kashi
Ma ke ashirvad se jeevan ka sukh hai barahon mashi
Wo kismatwala hai jisne paya ma ka pyar
Ma  ki mahima........................
Sachche mann se jai mata ki................


No comments:

Post a Comment