Saturday, August 8, 2015

Durga Chalisa (1-5) to be continued


  • Namo namo Durge sukh karni
  • Namo namo Ambe dukh harni.


Sukh pradaan karnewali ma shri Durga ji ko mera namaskaar hai. Dukh harnewali MA shri Ambeji ko mera namaskaar hai

Namaskaar to MA Durga who grants us joy and namaskaar to MA Ambe who takes away our sorrows.


  • Nirankaar hai jyoti tumhaari
  • Tihun lok failing ujiyaari
Apki jyoti ka prakash asim hai jiska teenon lokon (prithvi, akash and pataal) mein prakash phael raha hai.

Your light is formless and is spread over the earth, sky and the world under).


  • Shashi lalaat mukh mahavishala
  • Netra lal bhrikuti vikrala
Apka mastak chandrama ke samaan aur mukh ati vishaal hai. Nayan raktim abha se yukt tatha bhrikuti vikraal hai.

Your forehead is like the moon and face is huge. Your eyes are red and your eyebrows are most fearsome.

  • Roop maat ko adhik suhavey
  • Darash karat jann ati sukh pavey
MA ka yeh roop atyadhik suhavana hai. Iske darshan se bhakton ko param sukh milta hai

Ma's this form is very attractive. Just by worshipping Her the devotees get utmost happiness.


  • Tum sansar shakti lai keena
  • Paalan hetu unn dhann deena
Aap sansar ki sabhi shaktiyon ko apne mein sametey huey ho aur jagat ka paalan karney ke liye hummein unn aur dhann deti ho

You are the embodiment of all the powers and you give us grains (food) and wealth for our daily livelihood.

No comments:

Post a Comment