Friday, September 26, 2014

Meri maa ki adalat sub se barhi

Jai Mata Di
Meri maa ki adalat sub se barhi
Yahan rishwat ka koyi phaer nahin
Yahan daer toa hai andhaer nahin
Meri maa ki adalat………..
Maa janam janam ka karti lekha-jokha hai
Yahan kissi baat ka khatka na hi dhokkha hai
Yahan chote-barhe ka koyi bhi bhagto farak nahin
Maa jaani-jaan ke aagey chalta tark nahin
Maa sachcha yahan insaf karein
Subki bhoolein maaf karein, Meri maa ki adalat………..

Maa dharma ke kaante mein subko toal rahi
Maa buund muqaddar ke talon ko khol rahi
Yahan jhoodh kaam ke lagte bhagton paer nahin
Insaan jeetey shaitanon ki khair nahin
Yahan jhoothi kabhi dil joyi nahin
Yahan maa ka munsif koyi nahin
Meri maa ki adalat………..

Yahan dhaan dhamki se hoti kabhi mannmaani na
Yahan dabbti kissi gavahi se maharani na
Kai jagat kachehri mein haarey yahan jeet gaye
Kabhi saanch ko aayi aanch nahin yug beeta gaye
Kya khari baat kya khoti hai
Meri maa ki adalat ajab kasauti hai

Meri maa ki adalat………..

No comments:

Post a Comment