Monday, September 29, 2014

Jai jai ambe jai jagdambe

Jai Mata Di

Jai jai ambe jai jagdambe (3)
Sachche mann se jaap kare toa
Wo jan mukti paata hai
Janam janam ke bandhan chutein
Bhavsagar tarr jata hai
Jai jai ambe…………………

Oonche oonche parvat wali
Teri sher sawari hai
Bhakton ka mann mohe ambe
Aisi chavi nyari hai
Tu jug ki rani hai daati
Yeh sansar bhikari hai
Bhakt hain tumein pyare maiyya
Tu bhakton ki pyari hai
Kitna sundar kitna paavan
Maa bĂȘton ka nata hai
Janam janam ke bandhan chutein
Bhavsagar tarr jata hai
Ab toa darash dikha……..
Jai jai ambe…………………

Jo bhi darr pe sheesh jhukaye
Uske dukh santaap harey
Bun aye jo deen sawali
Pal mein uske paap harey
Karuna ki moorat vardaani
Subke dukhre duur kare
Annapoorna banke mata
Bhakton ke bhandar bhare
Ridhdhi sidhdhi dene wali
Subki bhgya vidhata hai
Janam janam ke bandhan chutein
Bhavsagar tarr jata hai
Ab toa darash dikha……..
Jai jai ambe…………………

Mujhko doa vardaan mein
Har pal tera dhyaan lagaun maa
Tere rung mein rangi rahoon maein
Teri mahima gaaun maa
Tujhko apne saamne paaun
Jab tera dhyaan lagaun maa
Teri lagan mein magan rahun maein
Tujh mein hi kho jaaun maa
Jo tere gunn gata maiyya
Jug uske gunn gata hai
Janam janam ke bandhan chutein 
Bhavsagar tarr jata hai

Ab toa darash dikha……..
Jai jai ambe…………………

No comments:

Post a Comment