Thursday, September 15, 2011

Poori Hovey Manokamna

Jai Mata Di

Poori hovey manokamna jo ma meri meher karey (2)
Manjhi ma jiski baney bhavchal se bhi naav tarey
Jiski raakhanhaar ma woh sankat se phir kyon darrey
Poori hovey manokamna…………………………..

Asht bhuja ke naam ki jis ghar jot jagey
Sub andhiyara paap ka wahan se duur bhaagey
Barsey wahan chahey aag bhi jara na aanch lagey
Poori hovey manokamna…………………………..

Jo bhi jann ambe ma ki sharan mein aayey (2)
Pal bhar bhi kabhi na usse iss jug ka kasht satayey
Poori hovey manokamna…………………………..

Sachchi ma ki preet hai sachcha hi hai darbar
Kabhi bhi khali na huey karuna ke paavan bhandar
Kaun payega iss paar mein yeh hai aprampaar
Poori hovey manokamna…………………………..

Parasmaniyan charan hain mastak wahan tu laga
Lohey jaisa shareer jo sona usko bana
Dayanidhi maha ma iss se tu pal bhar bhi duur na ja
Poori hovey manokamna…………………………..

No comments:

Post a Comment