Wednesday, September 7, 2011

Arati Shri Saraswati Mata Ji Ki

Jai Mata Di

Jai saraswati mata jai jai saraswati mata
Sadguun vaibhav shalini tribhuvan vikhyata, jai saraswati mata…..

Chandra vadni padmasini dyuti mangalkari
Sohey shubh hans savari atul tezdhaari, jai saraswati mata…..

Baayen kar mein veena daayen karmala
Sheesh mukut mani sohey gull motiyan mala, jai saraswati mata…..

Devisharan jo ayey unka udhdhaar kiya
Paithi manthra dasi ravan sanhar kiya, jai saraswati mata…..

Vidya gyan pradayini jug mein gyan prakash bharo
Moh aur agyan timir ka jug se naash karo, jai saraswati mata…..

Dhoop deep fal meva ma swikaar karo
Gyanchakshu de mata jug nistaar karo, jai saraswati mata…..

Ma saraswati ki arati jo koyi jan gaavey
Hitkaari sukhkaari gyan bhakti paaavey, jai saraswati mata…..

Bola ma shardey ki jai

No comments:

Post a Comment