Thursday, April 11, 2013

bigri banana tera kaam hai

Jai Mata Di

Ma tere darr pe aana mera kaam hai
Meri bigri banana tera kaam hai (2)
Darr pe sirr ko jhukana mera kaam hai
Aur galey se lagana tera kaam hai
Ma tere......................................
Meri bigri....................................(2)

Ma tere darr pe aana koyi aasan nahin
Kaise aaye tu jis pe meherbaan nahin
Sirf chalna chalana mera kaam hai
Apne darr tak pahunchana tera kaam hai
Ma tere......................................
Meri bigri....................................(2)


Bin tere koyi kuch kar kara na sakey hai
Ek tinka bhi koyi hila na sakey hai
Haath hi sirf hilana mera kaam hai
Kaam karna karana tera kaam hai

Ma tere......................................
Meri bigri....................................(2)

Ma sabhi ko hi tu de rahi daat hai
Tere aagey kissi ki kya aukaat hai
Sirf daaman failana mera kaam hai
Daat dena dilana tera kaam hai
Ma tere......................................
Meri bigri....................................(2)

Ma viyogi ka tann mann tere saath hai
Mere jeevan ki dori tere haath hai
Jagran mein toa gana mera kaam hai
Aur mera rung jamana tera kaam hai
Ma tere......................................
Meri bigri....................................(2)




No comments:

Post a Comment