Tuesday, November 29, 2011

Vandana karo sheranwali ki


Jai Mata Di

Vandana karo sheranwali ki

Archana karo jotanwali ki

Prarthana karo ma bhavani ki

Jai mata ki, jai mata ki, jai mata ki jai jai (2)



Jab jab jug mein asur barhe ma ne unhe sanhara

Jab jab bhakton pe kasht barhe ma ne diya sahara

Sadhna karo jag kalyani ki

Archana karo jotanwali ki

Vandana karo sheranwali ki

Jai mata ki, jai mata ki, jai mata ki jai jai (2)



Jo ma ke darshan karta hai, mann ki muraden paata hai

Mata ka jo dhyan lagata bhav sagar tarr jaata hai

Bhaavna bhari meheran wali ki

Archana karo jotanwali ki

Vandana karo sheranwali ki

Jai mata ki, jai mata ki, jai mata ki jai jai (2)



Tu hi jug mein subse barhi hai, tujhse barha na koyi

Jis per teri kripa ho mata, kuch na bigaarey koyi

Arati karo mata rani ki

Archana karo jotanwali ki

Vandana karo sheranwali ki

Jai mata ki, jai mata ki, jai mata ki jai jai (2)



No comments:

Post a Comment