Saturday, July 23, 2011

Tumhari daya ki toa matshali hun ma

Jai Mata Di

Tumhari daya ki toa matshali hun ma

Yeh duniya ke jhagre yeh jug ke bakherhe
Nahin aane dete mujhe paas tere
Yeh chaaron taraf baithe hain mujh ko ghere
Mein khud daal baithi galey faansi hun ma…………

Tu dukh harni ambe tu sukhon ki daati
Nahin mujh se mahima kahi teri jaati
Tu daason ke sankat mitaane hai aati
Tere darshanon ki toa mein pyasi hun ma………………

Mere maan mein kya hai tu sub jaanti hai
Tu har dil ke dukhrhe ko pehchanti hai
Vinay deen dukhiya ki tu maanti hai
Tabhi toa tere charnon ki daasi hun ma………………

Chaman teri duniya ke adbhut nazare,
Zamin aasman chanda suraj sitare
Sada gaate rehte hain gunn ye tumhare
Tere ansh se hi mein bhi avinashi hun ma....................

No comments:

Post a Comment