Monday, February 14, 2011

Chalo bulava aaya hai, mata ne bulaya hai

Jai Mata Di

Mata jinko yaad kare woh log nirale hote hain
Mata jinka naam pukare woh kismat vale hote hain

Chalo bulava aaya hai mata ne bulaya hai
Ho ~ ~ unche parvat pe rani ma ne darbar lagaya hai
Chalo bulava aaya hai mata ne bulaya hai………………….
Jai mata di (3)

Sare jug ka ek thikana sare gum ke maaron ka
Rasta dekh rahi hai mata apni aankh ke taaron ka
Ho ~ ~ mast havaon ka jhonka yah sandesha laya hai
Chalo bulava aaya hai mata ne bulaya hai…………………..

Jai mata ki karte jao aane jaane valon ko
Chalte jao yun mat dekho apne paon ke chaalon ko
Ho ~ ~ jisne jitna dard saha hai utna chain bhi paya hai
Chalo bulava aaya hai mata ne bulaya hai…………………..

Vaishno devi ke mandir mein log muraaden paate hain
Rote-rote aate hain hanste-hanste jaate hain
Ho ~ ~ mein bhi maang ke dekhoon jisne jo maanga so paya hai
Chalo bulava aaya hai mata ne bulaya hai………………………

Mein bhi toa ek ma hun mata, ma hi ma ko pehchane
Bete ka dukh kya hota hai, aur koi yeh kya jane
Ho ~ ~ uska khoon mein dekhoon kaise jisko doodh pilaya hai
Chalo bulava aaya hai mata ne bulaya hai……………………….

O prem se bolo              jai mata di
O sare bolo                   jai mata di
Vaishno rani                  jai mata di
Ambe kalyani                jai mata di
Ma bholi bhali               jai mata di
Ma sheran wali              jai mata di
Jholi bhar deti                jai mata di
Sankat har leti               jai mata di

No comments:

Post a Comment