Monday, January 3, 2011

Meri kutiya mein aa mahamayi

Jai Mata Di

Meri kutiya mein aa mahamayi (2)
Binti kare dukhiyari (2)
Doa nainan ki jyot jalakar (2)
Dekhun baat tumhari (2)
Meri kutiya mein……….

Maharaniye ~ ~ kahe laga di tuney deri (2)
Tun na sune toa phir duniya mein kaun sunega meri (2)
Meri kutiya mein……….

Shradha lagan ki chun chun kaliyan nis din mein hun mala banati
Lekin tujhko bhay bhanjani maa (2) meri yaad na aati
Meri kutiya mein……….

Pal doa pal hi jhalak dikha de kya bigrega tera
Tere bina ye ban gaya soona har din ab maa mera
Meri kutiya mein……….

Iss kutiya ka har gunn maiya (2) tere darshan ko tarse
Kamna hai ki yahan bhi tumhari (2) daya ka amrit barse
Meri kutiya mein……….

No comments:

Post a Comment